Bikhre Moti
Urdu Shayari : Patthar Aankhen – by Ahmad Kamaal
♥♥♥
Koi chehra huaa roshan n ujaagar aankhen
Aaina dekh rahi thi meri patthar aankhen
♥
Le udii waqt ki andhi jinhen apne hamraah
Aaj phir dhund rahi hai wahi manzar aankhen
♥
Phoot-nikli to kaiN shahar-e-tamanna doobe
Ek qatre ko tarasati hui banjar aankhen
♥
Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
Apne hlkon se nikal aai hain bahar aankhen
♥
Tu nigahon ki zubaN Khub samajhata hoga
Teri janib to utha karati hain aksar aankhen
♥
Log marte n dar-o-baam se takara ke kabhi
Dekh lete jo ‘Kamal’ us ki samandar aankhen
♥♥♥
By Ahmad Kamaal Urdu Shayari






Leave a Reply