Bikhre Moti
<<->>
Apne khwabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
Aankh khulte hi tujhe dhoondne nikla hoga
*
Zindagi sirf tere naam se mansoob* rahe
Jaane kitane hi dimaaghon ne ye socha hoga
Mansoob = Jurhi hui / Sambandhit (संबंधित)
*
Dost ham us ko hi payghaam-e-karam samajhenge
Teri furqat* kaa jo jalta huaa lamha hoga
Futqat = Alag hona / Judaai (जुदाई )
*
Daaman-e-zeest* mein ab kuchh bhi nahin hai baqi
Maut aai to yaqinan use dhokaa hogaa
Zeest = Zindagi / जीवन
*
Roshni jis se utar aai lahuu mein mere
Ae masihaa wo mera zakhm-e-tamanna hoga
*
Poet: Abbas DaanaN
*






like
Hummm!!! Acha hai sab acha hai