lockdown
Corona (COVID-19) Lockdown Me Sharabi Ki Faryaad
♥
♥
Mazeed : Urdu Hindi Script | Bikhre Moti | Images






The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayri
lockdown
♥
♥
Mazeed : Urdu Hindi Script | Bikhre Moti | Images
Urdu Shayari in Hindi
♥
Qissa-e-ishq suna ne mein maza aata hai
Ayse geeton ko to gaane mien maza aata hai
Husn ko aag lagaane mein maza aata hai
Ishq ko naaz uthane mein maza aata hai
Jis ki naraaz nigahon mein muhabbat machle
Ayse rooteh ko manane mein maza aata hai
Roz aa-aa ke shikayat jo kiya karta ho
Us ke aane se to jaane mein maza aata hai
Zakhm par pyar ke marham n lagaao “Sayyid”
Chaut par chaut hi khaane mein mazaa aata hai
♥
قصّہ عشق سنانے مے مزہ آتا ہے
ایسے گیتوں کو تو گانے مے مزہ آتا ہے
حسن کو آگ لگانے مے مزہ آتا ہے
عشق کو ناز اٹھانے مے مزہ آتا ہے
جس کی ناراض نگاہوں مے محبّت مچلے
ایسے روٹھے کو منے مے مزہ آتا ہے
روز آ آ کے شکایات جو کیا کرتا ہو
اس کے آنے سے تو جانے مے مزہ آتا ہے
زخم پر پیار کے مرہم نہ لگاو “سید”
چوٹ پر چوٹ ہی کھانے مے مزہ آتا ہے
♥
Urdu Shayari in HIndi
क़िस्सा ए इश्क़ सुनाने में मज़ा आता है
ऐसे गीतों को तो गाने में मज़ा आता है
हुस्न को आग लगाने में मज़ा आता है
इश्क़ को नाज़ उठाने में मज़ा आता है
जिस की नाराज़ निगाहों में मोहब्बत मचले
ऐसे रूठे को मानाने में मज़ा आता है
रोज़ आ आ के शिकायत जो किया करता हो
उस के आने से तो जाने में मज़ा आता है
ज़ख्म पर प्यार के मरहम न लगाओ “सय्यिद”
चोट पर चोट ही खाने में मज़ा आता है
♥
Mazeed : Kalam e Sayyid | Urdu Hindi Script
Shayari Bahadur Shaah Zafar
♥
Baat karni mujhe mushkil kabhi aysi to n thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aysi to n thi
Le gaya chheen ke kaun aaj tera sab o qarar
Be-qarari tujhe ay dil kabhi aysi to n thi
Us ki aankhon ne khuda jane kiya kya jaadu
Ke tabiat meri maail kabhi aysi to n thi
Aks e rukhsaar ne kis ke he tujhe chamkaya
Taab tujh me mah e kamil kahbi aysi to n thi
Ab ke jo raah e muhabbat me uthai takleef
Sakht hoti hame manzil kabhi aysi to n thi
Chashm e qatil meri dushman thi hmenshan lekin
Jaisi ab ho gai qatil kabhi aysi to n thi
Kya sabab tu jo bigadta hai “zafar” se har baar
Khoo teri hoor shamail kabhi aysi to nahin
♥
بات کرنی مجھے مشکل کبھی ایسی تو نہ تھی
جیسی اب ہے تری محفل کبھی ایسی تو نہ تھی
لے گیا چھین کے کون آج ترا صبر و قرار
بے قراری تجھے اے دل کبھی ایسی تو نہ تھی
اس کی آنکھوں نے خدا جانے کیا کیا جادو
کہ طبیعت مری مائل کبھی ایسی تو نہ تھی
عکس رخسار نے کس کے ہے تجھے چمکایا
تاب تجھ میں مہ کامل کبھی ایسی تو نہ تھی
اب کی جو راہ محبت میں اٹھائی تکلیف
سخت ہوتی ہمیں منزل کبھی ایسی تو نہ تھی
چشم قاتل مری دشمن تھی ہمیشہ لیکن
جیسی اب ہو گئی قاتل کبھی ایسی تو نہ تھی
کیا سبب تو جو بگڑتا ہے ظفرؔ سے ہر بار
خو تری حور شمائل کبھی ایسی تو نہ تھی
♥
बात करनी मुझे मुश्किल कभी ऐसी तो न थी
जैसी अब है तिरी महफ़िल कभी ऐसी तो न थी
ले गया छीन के कौन आज तिरा सब्र ओ क़रार
बे-क़रारी तुझे ऐ दिल कभी ऐसी तो न थी
उस की आँखों ने ख़ुदा जाने किया क्या जादू
कि तबीअ’त मिरी माइल कभी ऐसी तो न थी
अक्स-ए-रुख़्सार ने किस के है तुझे चमकाया
ताब तुझ में मह-ए-कामिल कभी ऐसी तो न थी
अक्स-ए-रुख़्सार = गाल का प्रतिबिंब
अब की जो राह-ए-मोहब्बत में उठाई तकलीफ़
सख़्त होती हमें मंज़िल कभी ऐसी तो न थी
चश्म-ए-क़ातिल मिरी दुश्मन थी हमेशा लेकिन
जैसी अब हो गई क़ातिल कभी ऐसी तो न थी
क्या सबब तू जो बिगड़ता है ‘ज़फ़र’ से हर बार
ख़ू तेरी हूर-शमाइल कभी ऐसी तो न थी
सबब = कारण | ख़ू = आदत / स्वभाव
♥
Mazeed : Urdu Hindi Script | Bikhre Moti
Urdu Shayari
♥
Nazar ke farsh sari zindagi yun hi bichhe rakkho
Koi aae n aae dil ke darwaze khule rakkho
HazaroN kos ke jismoN me chahe fasle rakkho
Magar ik bat meri yaad rakkho dil mile rakkho
Jafa par aah karna kufr hai deen e muhabbat mein
Khuda-ra zabt ke resham se apne lab sile rakkho
Hatheli par liye dil kal bhi nikle log mumkin hai
Sitam ke teer kal ke waste do ek pade rakkho
Nayi nasloN ke logoN se ye kehdo rahe manzil me
Lage hain jo purane waqt ke patthar lage rakkho
Hansee aati hai to zakhmoN ke taaNke toot jaate hain
Hamare is bars zakhmoN ke taaNke kam kase rakkho
“Aleem” us ke talawwun ko tum us ki ik adaa samjho
Kahan tak us ke kadwe bol tum dil par likhy rakkho
♥
By Dr. Aleem Usmani
Mazeed : Bikhre Moti
Ghazal
♥
Munsifo saleeboN par faisle nahin hote
Besabab baghawat ke sanihe nahin hote
Soch kar juda hona, phir ke mil n paaenge
Kyun ke is zamane mein mojize nahin hote
Jo bhi the gile shikwe, door kar ke jaana tha
Kam se kam bichadne par dil bure nahin hote
Dard boegaa sawan phir se kachche aangan mein
Kaash pehli barish mein ham mile nahin hote
Chand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
Ham se us ki yaadon mein ratjage nahin hote
By : Zakiya ghazal
♥
Mazeed : Bikhre Moti