Urdu Shayari Mushaira By Saahil Qadri
♥
Sajda e Shukr Jo Ek Mujh Se Qazaa Hota Hai
Muddaton Sharm Se Sar Mera Jhuka Hota Hai
♥
Saahil Qadri Mushaira
The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
♥
Laga ayse bahot lamba wo ek paigham likhta tha
Magar dekha to reh reh kar mera hi naam likhta tha
mere haasid ne pehle hi se raahe band kee meri
badal kar wo mere aaghaaz ko anjaam likhta tha
Ulajhta hai wo har ek baat par ab be-sabab mujh se
Kabhi jo mere kehne par subah ko shaam likhta tha
Usee ke raastoN pe chalna tum ko ayb lagta hai
Tumhare waaste rahmat ke jo paighaam likhta tha
Wahi lab ban chuke hein mere haq mein zehr ke pyaale
Jinhen “Saahil” Muhabbat ke kabhi mein jaam likhta tha
♥
Ghazal by Saahil Qadri
♥
[urdu_text]
لگا ایسے بہت لمبا وہ ایک پیغام لکھتا تھا
مگر دیکھا تو رہ رہ کر میرا ہی نام لکھتا تھا
میرے حاسد نے پہلے ہی سے راہیں بند کی میری
بدل کر وہ میرے آغاز کو انجام لکھتا تھا
الجھتا ہے وہ ہر ایک بات پر اب بےسبب مجھ سے
کبھی جو میرے کہنے پر صبح کوشام لکھتا تھا
اسی کے راستوں پہ چلنا تم کو عیب لگتا ہے
تمہارے واسطے رحمت کے جو پیغام لکھتا تھا
وہی لب بن چکے ہیں میرے حق میں زہر کے پیالے
جنہیں “ساحؔل” محبت کے کبھی میں جام لکھتا تھا
[/urdu_text]
♥
लगा एसे बहोत लम्बा वो एक पैग़ाम लिखता था
मगर देखा तो रेह रेह कर मेरा ही नाम लिखता था
मेरे हासिद ने पहले ही से राहें बंद की मेरी
बदल कर वो मेरे आग़ाज़ को अंजाम लिखता था
उलझता है वो हर एक बात पर अब बेसबब मुझ से
कभी जो मेरे कहने पर सुबह को शाम लिखता था
उसी के रास्तों पे चलना तुम को ऐब लगता है
तुम्हारे वास्ते रहमत के जो पैग़ाम लिखता था
वही लब बन चुके हैं मेरे हक़ में ज़ेहर के प्याले
जिन्हें “साहिल” मुहब्बत के कभी में जाम लिखता था
हक़ में = पक्ष में | बेसबब = बेवजह | हासिद = ईर्ष्या करने वाला
♥
Mazeed: kalam-e-Saahil Qadri | Urdu Hindi Script
♥
Urdu Shayari by Saahil Qadri, Rander saahl qadri nashisht, Urdu Shayari…. wahi lab ban chuke hein mere haq mein zehr ke pyale – Jinhen “saahil” muhabbat ke kabhi mein jaam likhta tha.. aur .. koi bhi karta nahin hai gul fashani muft mein – ham sunate hein magar dil ki kahani muft mein.. jaise khoobsurat ash’aar ka mazaa lijiye… Like kijie, Share kijiye, aur… Maze kijiye….
Mushaira Video : Baharon Ka Mausam – by Saahil Qadri
♥
♥
Mushaira Video : Baharon Ka Mausam – by Saahil Qadri
♥
Baharon ka mausam suhana lage
Khizaa ki kahin badduaa na lage
Mere ashk tum soch kar pochhna
Kahin dard-e-dil ko buraa na lage
Badi mushkilon se jalaa hai charagh
Hawaon ko dekho pataa na lage
Dilon se sabhi be-wafaa hain magar
Nazar se koi be-wafaa na lage
Kabhi ho to phir uzr maqbool hai
Hamenshan agar ho, bahana lage
Kuchh ayse maqaamaat se hai guzar
Ke har aadmi ab diwaana lage
Mujhe zindagi ki duaa de gaya
Duaa kar raha hun duaa na lage
N gham hoga phir zakhm-e-dil ka hamen
Agar qaaide se nishaana lage
Nazar ki karamat hai ye ishq mein
JahaN saaraa aaeena khaana lage
Ye “Saahil” meri saadah lauhi to hai
Jo ek be-wafaa be-wafaa na lage
♥
Mazeed: kalam-e-Saahil Qadri | Videos
Urdu ghazal in urdu hindi script : Hamenshaan ki tarah “Saahil Qadri” sahab ki ye ghazal bhi pehli baar internet par peish ki jaa rhai hai, ummid hai qarieen ise pasand farmaenge, urdu ghazal ki duniya mien “Saahil Qadri” sahab ka ek alag hi andaaz hai, pasand aaye to apne doston mein ise share zarur kijiyega… shukriya.
♥
Ehsas-e-ishq gham ki panahon mein aagaya
Baadal simat ke chaand ki baahon mein aagaya
Izhaar-e-ishq mein ne kisi se nahin kiyaa
Aur be-sabab jahaaN ki nigaahon mein aagaya
Wo muskura ke dekh rahe hain meri taraf
Itna asar to ab meri aahon mein aagaya
Kya poochhte ho azm-e-safar ki karamateN
Manzil ka naqsh khud meri raahon mein aagaya
Hain ibtedaai marhale ye ishq ke abhi
“Saahil” ye soz kyun teri aahon mein aagaya
♥
Urdu ghazal in urdu
احساس عشق غم کی پناہوں میں آگیا
بادل سمٹ کے چاند کی باہوں میں آگیا
اظہار عشق میں نے کسی سے نہیں کیا
اور بےسبب جہاں کی نگاہوں میں آگیا
وہ مسکرا کے دیکھ رہے ہیں میری طرف
اتنا اثر تو اب میری آہوں میں آگیا
کیا پوچھتے ہو عزم سفر کی کرامتیں
منزل کا نقش خود میری راہوں میں آگیا
ہیں ابتدائی مرحلے یہ عشق کے ابھی
“ساحل” یہ سوز کیوں تیری آہوں میں آگیا
♥
Urdu ghazal in hindi
एहसासे इश्क़ ग़म की पनाहों में आगया
बादल सिमट के चाँद की बाहों में आगया
इज़हारे इश्क़ में ने किसी से नहीं किया
और बेसबब जहां की निगाहों में आगया
वो मुस्कुरा के देख रहे हैं मेरी तरफ
इतना असर तो अब मेरी आहों में आगया
क्या पूछते हो अज़्मे सफर की करामतें
मंज़िल का नक़्श खुद मेरी राहों में आगया
अज़्म = प्रतिबद्धता
हैं इब्तिदाई मरहले ये इश्क़ के अभी
“साहिल” ये सोज़ क्यूँ तेरी आहों में आगया
सोज़ = जलन
♥