<< By Jan Nissar Akhtar >>
*
Mauj-e-gul, mauj-e-sabaa, mauj-e-sahar lagti hai
Sar se paa tak wo samaa hai ke nazar lagti hai
*
Ham ne har ghaam pe sajdon ke jalaye hain charagh
Ab teri raahguzar raahguzar lagti hai
*
Lamhe lamhe mein basi hai teri yaadon ki mehek
Aaj ki raat to khushboo ka safar lagti hai
*
Jal gaya apna nasheman to koi baat nahin
Dekhna ye hai ke ab aag kidhar lagti hai
*
Saari duniyan mein gharibon ka lahuu behta hai
Har zamiN mujh ko mere khoon se tar lagti hai
*
Waqeaa shehr mein kal to koi aysa n huwaa
Ye to “Akhtar” hi ke daftar ki khabar lagti hai
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))
*
मोज़े गुल, मोज़े सबा, मोज़े सहर लगती है
सर से पा तक वो समा है के नज़र लगती है
हम ने हर ग़ाम पे सजदों के जलाये हैं चराग
अब तेरी राहगुज़र राहगुज़र लगती है
लम्हे लम्हे में बसी है तेरी यादों की महक
आज की रात तो खुशबू का सफ़र लगती है
जल गया अपना नशेमन तो कोई बात नहीं
देखना ये है के अब आग किधर लगती है
सारी दुनियां में ग़रीबों का लहू बहता है
हर ज़मीं मुझ को मेरे खून से तर लगती है
वाक़ेआ शेहर में कल तो कोई अयसा न हुवा
ये तो “अख्तर” ही के दफ्तर की खबर लगती है






i like it
mujhe bahut pasand aai
I like this poem
Muje bahu t pasand ayi