Urdu Ghazal By Faiz Ahmad Faiz
*
Himmat e ilteja nahin baaqi
Zabt ka hausla nahin baaqi
Zabt = Bardasht
*
Ek teri deed chhin gai mujh se
Varna duniya mein kya nahin baaqi
Deed = Deedar/Darshan
*
Apni mashq e sitam* se haath n kheench
Mein nahin ya jafaa nahin baaqi
mashq e sitam = sitam ka abhyas / practice of tormenting
*
Teri chashm e alam navaaz ki khair
Dil mein koii gilaa nahin baaqi
chashm e alam navaaz = dilasa dene wali aankhen
*
Ho chuka khatm ahd e hijr o visaal*
Zindagi mein mazaa nahin baaqi
Ahd e hijr o visaal = milan aur judaai ka daur/zamana
*
Read All Poetry By Faiz Ahmad Faiz






Leave a Reply