<< Sayyid Randeri >>
*******
Ilahi muqaddar ke maron ki sun
Tu fariyad ham besaharon ki sun
*
Gham-e-zindagi se pareshan hein
Khata-kaar aakhir to insaan hein
*
Liye dar pe aaye pashemaniya’n
Tu ab darguzar karde nadaniya’n
*
Asir-e-tamanna ko aazaad kar
Dil-e-gamzada ko tuhi shaad kar
*
Zamana bada hi daga baaz hai
Gunaahon pe insan ko naaz hai
*
Chirag-e-muhabbat dilon me jala
Tu amn-o-amaN ki hawayen chala
*
N fitne-fasaadaat ki baat ho
N apne mafaadaat ki baat ho
*
N sarhad, n bandhan, n khuN reziyaN
N dehshat, n weshat ki sar-garmiyaN
*
N chaaqu, n khanjar, n talwaar ho
JahaN mein tere pyaar hi pyaar ho
*
Pareshaniyan sab ki aasan kar
Haqiqat me insa’n ko insan kar
***
( Click here for more kalam-e-Sayyid Randeri )






Leave a Reply