<< Sayyid Randeri >>
*******
Kuch nahi to meri khush-fehmi mitaa hi deta
Mere aage tu mere khat ko jalaa hi deta
*
Is bahane koi rishta to banaa hi deta
Tu mujhe jurm-e-muhabbat ki sazaa hi deta
*
Main ne chaha bhi to ek ayse but-e-kafir ko
Jo kabhi pyaar bhi karta to rulaa hi deta
*
Yun bhatakta n main armaanoN ki lasheN lekar
Mujhe marne ki mere yaar duaa hi deta
*
Zindagi bhar n khudaa se mein shikayat karta
Mere dil ko bhi jo patthar ka banaa hi deta
*
Mera hamdard bhi deta hai naseehat mujh ko
Wo mera dard samajhta to dawaa hi deta
*
Teri rusvaai ke dar ne ise rokaa ab tak
Warna main dard ke daryaa ko bahaa hi deta
*
Chand aansoo mere jalte huwe dil ko dekar
Aah.! “Sayyid” koi ye aag bujhaa hi deta
***
Click here for more kalam-e-Sayyid Randeri






Leave a Reply