Wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai
*
Mein khud zameeN hun, magar zarf aasman ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
*
Bura n maan, mere lafz zehr zehr sahi
Mein kya karun ke yahi zaiqa zuban ka hai
*
Har ek pe musallat hai dil ki veerani
Tamam shehr pe saya mere makan ka hai
*
Bicharte waqt se ab tak mein yun nahin roya
Wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai
*
Musafiron ki khabar hai n dukh hai kashti ka
Hwa ko jitna bhi gham hai wo baadbaan ka hai
*
Jo barg-e-zard ki surat hawa mein udta hein
Wo ek warq meri apni daastaan ka hai
*
Ye aur baat, adalat hai be khabar warna
Tamam shehr mein charcha mere bayaan ka hai
*
Asar dikha n saka us ke dil mein ashk mera
Ye teer bhi kisi tooti huii kamaan ka hai
*
Bichhad bhi jaaye magar mujh se be-khabar bhi rahe
Ye hausla hi kahan mere bad-gumaan ka hai
*
Qafas to khair muqaddar mein tha magar “Mohsin”
Hwaa mein shor abhi tak meri udaan ka hai
*
(( Mazeed.. kalam-e-Mohsin Naqvi ))






MashaAllah Bahut khoob…..if only a few words were given meaning it would be good…..thank you
TERI ZINDAGI PAR IK KITAB LIKHUNGA . TERI GARDAN KO PHULO KI TAHNI TUJHE GULAB LIKUNGA. ZULFO KO TERI KALI GHTA AUR AANKHO KO SHRAB LIKHUNGA.