<< Kalam-e-Aamir >>
*******
MERI BATON KO DONO NE KISI QABIL NAHI SAMJHA
KISI DIN WO, NAHI SAMJHE, KISI DIN DIL, NAHIN SAMJHA
*
TERI MEHFIL ME QISMAT SE ME SHAMIL HO GYA LEKIN
TERI MEHFIL NE APNE ME KABHI SHAMIL NAHIN SAMJHA
*
YE MUMKIN THA TERA RAZ-E-MOHABBAT FAASH HO JATA
BHOT ACHCHHA HUWA KOI ZUBAN-E-DIL NAHIN SAMJHA
*
SDA-E-KAMRANI USKE KANO’N ME KAHA’N AAI
SHIKAST-E-DIL KO JIS NE ZEEST KA HASIL NAHIN SAMJHA
[SDA-E-KAMRANI = kamyabi ki pukar] [SHIKAST-E-DIL = dil ki haar]
[ZEEST = zindagi]
*
PADI REHTI HE USKE PAAUN ME MONJON KI ZANJEEREN
ZMANA AAJ TAK MAJBOORI-E-SAHIL NAHI SAMJHA
*
BHRI MEHFIL ME RUSWA KARDIYA SOZ-E-MOHABBAT KO
ASOOL-E-AASHIQI PARWAN-E-MEHFIL NAHI SAMJHA
*
MOHABBAT OR TALIB KHOO’N BHAA KI AE M’AAZALLAH
MOHABBAT NE KABHI QATIL KO BHI QATIL NAHI SAMJHA
[KHOO’N BHAA = Khoon ka badla khoon/inteqaam] [TALIB = talabgaar/mangnewala]
[m’aazallah = allah ki pnah]
*
KABHI TOOFAN KI HAR MAUJ KO SAHIL SAMAJH BETHE
KABHI YUNBHI HUWA SAHIL KO BHI SAHIL NAHI SAMJHA
*
JHA’N TAK DAAD DI JAAE WO KAM HE IS TAGAFUL KI
SAMAJH KAR BIH WO “AAMIR” MUDDUA-E-DIL NAHI SAMJHA
[TAGAFUL = be-rukhi] [MUDDUA = maqsad/dil ki murad]
*
Click here for more kalam-e-Aamir Surati)






Leave a Reply