Lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza paai | full ghazal by Muzaffar Razmi
*
Mehroom-e-haqeeqat hain sahil ke tamashai
Ham doob ke samjhe hain dariyaon ki gahrai
*
Chal ae mere hamsaya bargad ke tale bethein
Deewar se aangan mein ab dhoop utar aai
*
Chalte hue baadal ke saye ke ta’aqub mein
Ye tishnalabi mujhko sehraon me le aai
*
Ye jabr bhi dekha hai taarikh ki nazron ne
Lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza paai
*
Jis waqt chirha kissa, “Razmi” ki tabahi ka
Kiyun aap ki aankhon mein us waqt nami aai
*
Poet: Muzaffar Razmi






beautiful gazal hai
Its a wonderful creation..
Wah Wah
……………★
What a lovely & meaningful shair : lamho ne khata ki thi sadion ne saza pai.
Ek milta julta shair hai : bas ek kadam utha tha galat rahae shauk mae, manzil
tamam umr mujhe dhoonti rahi.
What a beautyful sher jo bilkul haqeeqat hai
bhahot behtreen kalam hai.
Ex-P.M Yousaf Raza Gillani nay indian P.M Man mohan singh sy milty wkt ye shair parha tha
” ye jabar bhi daikha hay tareekh ki nazroon nay
Lamhon nay khata ki thi sadion nay saza pai ”
phir indian p.m ny b jawab may aik shair bola tha ,, wo shair koi share kar lye to mehrbani hogi
🙂
Is shair ko padne ke ba’ad mejhey muzaffar razmi sahab ki shayri ki gehrai ka andaaz hua
Waqi buhut hi achcha shayer buhut hi achchi shayree
mujhe ye gazal download krni h mp 3 pls koi link bta do?..
Bahot achchi umda haalaat k mutabiq shayari hai . Aapka shukriya muzaffar Razmi sahab