Urdu Ghazal by Muneer Niazi
*
Hain aabaad laakhon jahaaN mere dil men
Kabhi aao daaman-khushaaN mere dil men
*
Utarti hai dheere se raatoN ki chup men
Tere ruup ki kahkashaaN mere dil men
*
Ubharti hai raahoN se kirno ki lehreN
Sisakti hai parchhaiyaaN mere dil men
*
Zamaane ke lab par zamaane ki baaten
Meri dukh-bhari daastaaN mere dil men
*
Koi kyaa rahegaa jahaan-e-fanaa mein
Raho to raho javidaaN* mere dil men
*
( Click here for more kalam-e-Muneer Niazi )






Meri dukh bhari daastaane mere dil me
Mujay apni aur saari dunya kay loggou kee islah kee qoshish karne hain.
Islam bahut wasee hain.
P M (saw)said that blessing of almighty allah are up on those who accepted islam[muslim sharief]