Muhajir Hain Magar
Muhajir Hain Magar : by Munawwar Rana
♥
Muhajir hain magar ham ek duniya chhor aaye hain
Tumhare paas jitna hai, ham utna chhor aaye hain
♥
KaaiiN aankheN abhi tak ye shikayat karti rehti hai
Ke ham behte huwe kajal ka darya chhor aaye hain
♥
Hansee aati hai apni hi adakari pe khud ham ko
Bane phirte hein yusuf aur zulaikha chhor aaye hain
♥
Wazu karne ko jab bhi bethte hain, yaad aata hai
Ke ham ujlat mein jamna ka kinara chhor aaye hain
ujlat = jaldi (जल्दी) / jaldbazi
♥
Hamari ehliya to aagai, maaN chhut gai aakhir
Ke ham peetal utha laye hain, sona chhor aaye hain
ehliya = biwi/patni (पत्नी)
♥
Utar aaye muruwwat aur rawadari ka har chola
Jo ek saadhu ne pehnaai thi, maala chhor aaye hain
♥
Khayal aata hai aksar dhoop mein bahar nikalte hi
Ham apne gaaun mein peepal ka sayaa chhor aaye hain
♥
Bahot kam daam mein banye ne khetoN ko kharida tha
Ham is ke bawajood us par baqayaa chhor aaye hain
♥
Duaa ke phool pandit ji jahan taqseem karte the
Gali ke mod par ham wo shiwala chhor aaye hain
♥
Bure lagte hein shayad is liye ye surmaaii badal
Kisi ki zulf ko shaanoN pe bikhra chhor aaye hain
♥
Ye do kamron ka ghar aur ye guzarti zindagi apni
Wahan itna bada nokar ka kamra chhor aaye hain
♥
Ab itni jaldbazii par bahot afsos hota hai
Ke ek kholi ki khaatir raajwaada chhor aaye hain
♥
Short Introduction of Munawwar Rana
Munawwar Rana was born in Rae Bareli, Uttar Pradesh in 1952, but spent most of his life in Kolkata, West Bengal.
Awards
Sahitya Akademi Award for Urdu Literature (2014). He returned the award about one year later. He vowed to never again accept a government award.
In 2012 he was awarded Maati Ratan Samman by Shaheed Shodha Sansthan for his services to Urdu literature. Wikipedia






Superbbbb . . Linesss
Bahot Khub
jiyee muhajir…………..