Shakeel Badayuni
♥
Zamin pe fasl-e-gul aayi falak par mahatab aaya
Sabhi aaye magar koi na shayan-e-shabab aaya
Mera khat padh ke bole naamabar se, ja khudahafiz
Jawab aaya meri qismat se lekin laa-jawab aaya
Ujaale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain
Basera tha jahan apna waheen tak aaftab aaya
“shakeel” apne mazaq-e-did ki takameel kya hoti
Idhar nazron ne himmat ki udhar rukh par naqab aaya
♥
Mazeed : Kalam e Shakeel Badayuni






Leave a Reply