Shayri Urdu – By Shehzad Ahmed
♥
Sitara apni hi tabindagi* n dekh saka
Wo dhundh thi, ke ye manzar koi n dekh saka
*Tabindagi = shine/brilliance/chamak
♥
Talash karte huwe ungliyaN jala daali
Wo teergi* thi ke mein shma bhi n dekh saka
*Teergi = Darkness/Andhkaar
♥
Mila tha shaam mujhe ik bujha huwa suraj
Mein us ke bad kabhi roshni n dekh saka
♥
Jo rabt* baqi tha sab qataa* kar liya us ne
Wo meharbaN meri bechargi n dekh saka
*Rabt = Relation | *Qataa = Break
♥
Nigaah wiase to baam-e-falak* ko chhoo aai
Mein jis zameeN pe khada tha, wahi n dekh saka
*Baam-e-Falak = Roof of the sky
♥
Wahi hai aainakhana* wahi hai tasveereN
Mein umar bhar koi sorat naii n dekh saka
*AainaKhana = Glass House
♥
Tamam shehr mein wo deedawar* huwa mashhoor
Jo apni naak se aage kabhi n dekh saka
*Deedawar = Connoisseur
♥
Shayri Urdu – By Shehzad Ahmed
Return to Bikhre Moti






Leave a Reply