<< Ahmad Faraz >>
*******
Silsile torh gaya wo sabhi jaate jaate
Warna itne to marasim the ke aate jaate
*
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
Apne hisse ki koi sham’aa jalate jaate
*
Kitna aasaN tha tere hij’r mein marna jaana
Phir bhi ek umar lagi jaan se jaate jaate
*
Jashn-e-maqtal hi n barpa huwa warna ham bhi
Pa-b-jonlaN hi sahi naachte gaate jaate
*
Uski wo jaane use paas-e-wafaa tha ke n tha
Tum “Faraz” apni taraf se to nibhate jaate
***
(Click here for more kalam-e-Ahmad Faraz)






Leave a Reply