<< Mohsin Naqvi >>
*******
Ujrhe huwe logoN se gurezaN n huwa kar
Halaat ki qabroN ke ye qutbe bhi padha kar
*
Kya janiye kyun tez hawaa soch mein gum hai
Khwabeedah parindoN ko darakhtoN se uda kar
*
Us shakh’s ke tumse bhi mraasim hai, to honge
Wo jhuth n bolegaa mere saamne aa kar
*
Ab dastakeN dega tu kahaN ay gam-e-ahbaab
Mein ne to kaha tha ke mere dil mein raha kar
*
Harwaqt ka hansna tujhe barbaad n kar de
Tanhaai ke lamhoN mein kabhi ro bhi liya kar
*
Wo aaj bhi sadiyoN ki masafat pe khada hai
Dhunda tha jise waqt ki deewar ghira kar
*
Barham n ho kam-fehmi-e-korah nazraN par
Ay qamat-e-fun apni bulandi ka gilaa kar
*
Ay dil tujhe dushman ki bhi pehchhan kahan hai
Tu halq-e-yaaraN mein bhi muhtaat raha kar
*
Main mar bhi chuka, mil bhi chuka mauj-e-hawa mein
Ab ret ke seene pe meraa naam likha kar
*
Pehla sa kahan ab meri raftaar ka aalam
Ay gardish-e-dauraN zara tham tham ke chala kar
*
Is rut mein kahan phool khilenge dile-e-nadaaN
ZakhmoN ko hi wabast-e-zanjeer-e-sabaa kar
*
Ek rooh ki faryaad ne chaunka diya mujh ko
Tu ab to mujhe jism ke zindaaN se rihaa kar
*
Is shab ke muqaddar mein sahar hi nahiN “Mohsin”
Dekha hai kaiN baar charaghoN ko bujhaa kar
***
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )






boohot khoob