*
Niyat-e-shoq bhar n jaye kahin
Tu bhi dil se utar n jaye kahin
*
Aaj dekha hai tujh ko der ke baad
Aaj ka din guzar n jaye kahin
*
N milaakar udaas logon se
Husan tera bikhar n jaye kahin
*
Arzoo hai ke tu yahan aye
Or phir umar bhar n jaye kahin
*
Aao kuch der ro hi lein “Nasir”
Phir yeh dariya utar n jaye kahin
*
By Nasir Kazmi






Aa bhi jaa hasr ke din say pehlay
…
Hasrat-e-Deed mar na jaye kahin!
By myself
Hummmm!!! Kafi dard hai iss ghazal mein wah! Bhai wah!