<< Ahmed Nadeem Qasmi>>
*******
Tujhe Kho kar bhi tujhe paauuN jahaaN tak dekhuN
Husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuN
(husn-e-yazdaaN : beauty of God; husn-e-butaaN : beauty of idols)
*
Tuune yuuN dekhaa hai, jaise kabhi dekhaa hi na thaa
MaiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuN
*
Sirf is shauq meiN puuchi hai hazaaroN baateN
MaiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuN
*
Waqt ne zehn meiN dhundhlaa diye khadd-o-Khaal tere
YuuN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuN
(khadd-o-Khaal : appearence)
*
Dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhi koi le jaataa
Main faqat ek hi tasveer kahaaN tak dekhuN
*
Ek haqiqat sahi firdaus meiN huuroN kaa vajuud
Husn-e-insaaN se nipat-luuN to vahaaN tak dekhuN
***
(Click here for more kalam-e-Ahmed Nadeem Qasmi)






Leave a Reply