Guzre dinon ki yaad : Urdu shayari by Qateel Shifai
*
Guzre dinon ki yaad barasti ghata lage
Guzrun jo us gali se to thandi hawa lage
*
Mehman ban ke aaye kisi roz gar wo shakhs
Us roz bin sajaye mera ghar sajaa lage
*
Mein is liye mnaata nahin vasl* ki khushi
Mere raqeeb* ki n mujhe badduaa lage
vasl = milan | raqeeb = hareef,muqabil
*
Wo qahat* dosti ka pada hai ke in dinoN
Jo muskura ke baat kare, aashna* lage
Qahat = Akaal/famine | Aashna = Parichit/Familiar
*
Tark-e-wafaa* ke baad ye us ki adaa “Qateel”
Mujh ko sataaye koi to us ko bura lage
Tark e wafaa = be-wafaai / wafa se door hona
*
(( Qateel/Q’teel = Maqtool / Dead / victim ))
( Click here for more kalam-e-Qateel Shifai )






V nice shaeri
Nice