Urdu Shayari
♥
Kuch is tarha se use pyar karna padta hai
Ke apne pyar se inkaar karna padta hai
♥
Kabhi kabhi to wo itna qareeb hota hai
Ke apne aap ko deewar karna padta hai
♥
Khuda ne usko ataa ki hai wo masihaaee
Ke khud ko jaan ke beemar karna padta hai
♥
Wafa ki rah mein dushwariyan to aati hai
Wafa ki rah ko humwar karna padta hai
♥
Wo hath rakh ke mere dil pe puchta hai jab
To dard se mujhe inkaar karna padta hai
♥






Leave a Reply