(( Kalam-e-Shakeel Badayuni ))
*****
Zauq-e-sitam junuuN ki hadoN se guzar gayaa
Kam-zarf zinda rah gaye, insaan mar gayaa
*
Gham Khaanaa-e-jahaan men kise jur’at-e-qayaam
Meraa hi hausla thaa, ke do din thehar gayaa
*
Hai shiddat-e-khuloos bhi ek jurm-e-aashiqi
Parwaana jal ke sham’aa ko badnaam kar gayaa
*
Lillah ! aap mujhse muhabbat n keejiye
Do roz hi men aapksa chehraa utar gayaa
*
Pehle to zindagi ki tamanna thi ishq men
Ab dhuu’ndhtaa hun main, meraa qaatil kidhar gayaa
*
(click here for more kalam-e-shakeel badayuni)






Leave a Reply