Aamir Surati
We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below. 😀
Aamir Surati
♥♥♥
Fasl-e-gul ke aane se ya khizaa ke jaane se
Kaash.! muskura sakte, ham kisi bahaane se
Fasl e Gul = Springtime | Khizaa = Autumn | Kaash = I wish!
♥
Taqat apni manwaaye or, wo zamane se
Badhawaas hojaaye jo shikast kaane se
Badhwaas = Panicked | Shikast = Haar/Defeat
♥
Talib-e-masarrat ko, raaz ye batata hun
Hausla nikharta hai ranj-o-gham uthane se
Talib e Masarrat = Khushi ki tamanna karne wala/The desire of happiness
♥
Jo nahin samajh sakte dard ki nazakat ko
Faida hi kya unko zakhm-e-dil dikhane se
♥
Hadse zamane ke sakht hi sahi lekin
Jaaega kahan koii bhaag kar zamane se
♥
Har shikasht nusrat ka peshkhaimah hoti hai
Haarte hain kyun himmat log maat khane se
Shikasht = haar/Defeat | Nusrat = Madad/Help | Peshkhaimah = next step
♥
Har nafas mien paaenge woh kabhi mujhe “Aamir”
Ijtinaab karte hein jo nazar milaane se
Nafas = Saans/Breath | ijtinaab karna = parhez karna, door rehna, bachna, obviate
♥♥♥
Mazeed: Kalam e Aamir | FB Page







VERY NICE YAAR
beshkeemti
Toot jaye na bharam hont hila’on kesay.??
Haal jesa bhi hai log’on ko suna’on kesay..
yeh ghazal bahot hi ache lafzo se nikhaari gayi hai,aise nayaab ghazal sirf usi dilse nikal sakti hai jisne dard ke safeene apne dilme posheeda rakhe ho..yeh ghazal nahi ek aaho faryaad hai kisi ke dard ki ek aawaaz hai ..ek faryaad hai………..