(Akbar husain “Akbar Allahabadi”)
———————————————————————————————————
Aankhen mujhe talvon se malne nahin dete
Armaan mere dil ka nikalne nahin dete
*
Kis naaz se kehte hain wo jhunjhlake shab-e-wasl
Tum to hamain karwat bhi badalne nahin dete
*
Parvanon ne faanoos ko dekha to ye bole
Kya ham ko jalate ho, ke jalne nahin dete
*
Hairaan hun kis tarha karun arz-e-tamanna
Dushman ko to pehluu se wo talne nahin dete
*
Dil wo hai ke faryaad se labrez hai har waqt
Ham wo hai ke kuchh munh se nikalne nahin dete







Leave a Reply