Urdu Ghazal by Rahat Indori
*
Dosti jab kisi se kee jaye
Dushmanon ki bhi raye lee jaye
*
Maut ka zehr hai fizaon mein
Ab kahan jaa ke saans lee jaye
*
Bas isi soch mein hun duba hua
Ye nadi kaise paar kee jaye
*
Mere mazi ke zakhm bharne lage
Aaj phir koi bhool kee jaye
*
Botalen khol ke to pee barsoN
Aaj dil khol ke bhi pee jaye
*
Mazeed: Rahat Indori







Rahat indori i
My rahat indori ka fan hu
Unke gazale air naAm mujhe Bahut ache lagte ajai
Unki gaharaiya iffff
Munnawer rana , Rahat indori , waseem barelvi , shams jalnavi , populer sahab my faveret poet’s
nice poetry
100 marks