<< Kalam-e-Aamir >>
*******
Wabastah kar chuka hun, teri har khushi ke saath
Ab or kya sulook karun zindagi ke saath
*
Aana padega phir teri jaanib b-sad niyaaz
Ay ishq dekh rang-e-jahaN khamushi ke saath
*
Wo ek nigaah teri, jo milkar palat gai
Sabr-o-qaraar ho na liyeho usee ke saath
*
Aysa bhi ittefaaq huwaa hai kabhi kabhi
Aansoo bhi aa gaye hain, labon par khushi ke saath
*
Kar deN n bad gumaan ye andaaz aap ke
Hain be-takallufaan mrasim sabhi ke saath
*
Ay rashk karne waalo tahammul se kaam lo
Ho jaaegi tumheN bhi muhabbat kisi ke saath
*
“Aamir” ye waqia hai ke be-matlab-o-garaz
Karta nahin hai koi wafaaeN kisi ke saath
***
Click here for more kalam-e-Aamir Surati)







Waah subhanallah.!
Aamir Surati ka Jawaab nahin…. tamam ghazal hi lajwaab hai magar matla to ghazab ka hai:
Wabastah kar chuka hun, teri har khushi ke saath
Ab or kya sulook karun zindagi ke saath
Bohot hi khooooooob.
Masha Allah
Kya khoob kaha hai amir surati sahab aapka jawab nahi