Ahmad Faraz ki Shayari / Ghazal
♥
WehshateN badhti gai hijr ke aazaar ke saath
Ab to ham baat bhi karte nahin ghamkhwar ke saath
Wehshat = Ghabrahat | Hijr = Tanhaai | Aazaar = Marz / Bimari
♥
Ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hein
Taaq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath
Dastaar = Paghdi/Safaa
♥
Ek to khwaab liye phirte ho galiyon galiyo
Uspe takraar bhi karte ho khareedar ke saath
♥
Is qadar khauf hai us shehr ki galiyon mein, ke log
Chaap sunte hein to lag jaate hein deewaar ke saath
Chaap = Qadmon ki aahat
♥
Shehr ka shehr hi naaseh ho to kya kijiyega
Warna ham rind to bhidh jaate hein do chaar ke saath
Naaseh = Nasihat karne waala | Rind = Sharabi
♥
Ham ko us aehd mein tameer ka soda hai jahan
Log me’amaar ko chun dete hein diwaar ke saath
Tameer = Building / nirman | me’amaar = Architect / wastukar
♥
Jo sharaf ham ko mila koocha-e-jaana se “Faraz”
Soo-e-maqtal bhi gaye hain usi pindaar ke saath
koocha-e-jaana = mahboob ki gali | pindaar = guroor/garv
♥
Ahmad Faraz ki Shayari / Ghazal
Mazeed: kalam-e-Ahmad Faraz







great collection , but what is the mean of stars(*) in them…
Vinod Sahab.. Zarrah nawazi aur izzat afzaai ka bohot bohot shukriya.
WahshateN, Hijr, Aazaar, jaise lafz par ek chhota sa star (*) ka nishaan kiya hai, is ka matlab hai ke neeche in alfaaz ka tarjuma diya gaya hai.
Waise to wo nazar aa hi jaata hai, phir bhi kuchh log ek pehla misra hi padh kar bezaar ho jate hain aur aage padhna chhoor dete hain ke ye bohot mushkil hai, unhen pata chalta hai ke jo alfaaz unki samajh mein nahin aaye us ka tarjuma maujood hai.
Thanks for the shayari.
Want you to provide meanings of difficult words in every sher you post.
Shoaib bhaai aap ki nawazish hai jo aap ne meri koshishon ko pasand farmaya…
Insha-Allah Aap ke mashware par amal hoga.
Aap hazrat se yahi darkhast hai ke is site ki kamiyon aur khaamiyon ke bare mein aagah karte rahiye ta ke ise behtar banaya ja sake.. Shukriya.
Soo-e-maqtal bhi gaye hain usi pindaar ke saath…
What is the meaning?
Shaair kehta hai : ham qatalgaah (Slaughterhouse) ki janib chale hain usee naaz ke saath
Pindaar ka matlab garv/guroor ya naaz karna hota hai, is ka ek matlab soch bhi hota hai.