<< Ahmed Nadeem Qasmi>>
*******
Ab to shahroN se Khabar aati hai diwaanoN ki
Koi pehchaan hi baaqi nahiN viraanoN ki
*
Subh hote hi nikal aate haiN baazaar men log
GathriyaaN sar pe uthaaye huae imaanoN ki
*
Apni poshaak se hoshiyaar, ke Khuddaam-e-qadim
DhajjiyaaN maangte haiN apne girebaanoN ki
(Khuddaam : attendant; qadim : old)
*
San’ateN phelti jaati hein magar iske saath
Sarhaden tooTti jaati hein gulistaanoN ki
*
Unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
Bahes karte rahe saahil pe jo toofaanon ki
*
Maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
Kis qadar auj pe takrim hai insaanoN ki
(maqbare : tombs)
*
Teri rahmat to musallam hai magar ye to bataa
Kaun bjli ko Khabar detaa hai kaashaanoN ki
(kaashaane : shelters)
*
Abhi takmil ko pahunchaa nahiN zehnoN kaa gudaaz
Abhi duniyaa ko zaruurat hai ghazal-KhvaanoN ki
(takmil : fulfillment; gudaaz : development; ghazal-KhvaanoN : Ghazal reciters)
***
(Click here for more kalam-e-Ahmed Nadeem Qasmi)






Leave a Reply