Rahat Indori Urdu Ghazal
♥
Shaher mein dhoond raha hun ke sahara dede
Koi haatim* jo mere haath mein kaasa* dede
Haatim = Sakhi / उदार || Kaasa = Faqeer ka pyala / कटोरा
♥
Ped sab nange faqiron ki tarah sehme hain
Kis se ummid ye ki jaaye ke sayaa dede
♥
Waqt ki sangzani* noch gai saare nuqoosh*
Ab wo aaina kahan, jo mera chehraa dede
SangZani = पिसाई | Nuqoosh = छाप
♥
Dushmano ki bhi koi baat to sach ho jaaye
Aa mere dost kisi din mujhe dhokhaa dede
♥
Mein bohot jald hi ghar laut ke aa jaunga
Meri tanhaai yahan kuchh dinoN pehraa dede
♥
Doobjana hi muqaddar hai to behtar warna
Tune patwaar jo chhini hai to tinkaa dede
♥
Jis ne qatron ka bhi mohtaaj kiya hai mujh ko
Wo agar josh mein aa-jaye to daryaa dede
♥
Tum ko “rahat” ki tabiat ka nahin andaza
Wo bhikhari hai magar maango to duniya dede
♥






Leave a Reply