Akbar Ilahabadi Aur “Gohar Baai” Turki ba Turki
1910 mein ilahabaad ki makhsoos adabi nashisht jis mein raja maha raja, afsaraan aur moazzaz leg maujood the, mashhoor raqqasa aur shairah “gohar baai” bhi maujood thi, akbar ilahabadi ne us par tanz karte huwe ye shear kaha…
*
Khush naseeb aaj yahan kon hai “gohar” ke siwa
Sab kuchh allah ne de rak’kha hai shohar ke siwa
*
“Gohar” ne bhi foran ye shear jawab mein padha…
*
Yun to “gohar” ko mayassar hai hazaron shohar
Par pasand us ko nahin koi bhi “akbar” ke siwa
*






JIN PAR LUTA CHUKA THA MAIN DUNIYA KI DAULATEN
UN WARISON NE MUJH KO KAFAN NAAP KAR DIYA