akbar ilahabadi
Ghazal
Akbar husain “Akbar Ilahabadi
———————————————————————————————————
Duniyan main hun duniyan ka talabgaar nahin hun
Bazaar se guzra hun, khareedar nahin hun
*
Zindah hun magar zeest ki lazzat nahin baaqi
Har-chand ke hun hosh main, hoshyaar nahi hun
*
Is khaan-e-hasti se guzar jaaunga be-laus
Sayaa hun faqat, naqsh-b-deewar nahi hun
*
Wo gul hun, khezaane jise barbaad kiya hai
UljhooN kisi daaman se, main wo khaar nahi hun
*
Yaarab mujhe mahfooz rkah us but ke sitam se
Main us ki inaayat ka talabgaar nahi hun
*
Go da’awa-e-taqwa nahin dargaah-e-khuda main
But jisse hoN khush aysa gunehgaar nahin hun
*
Afsurdagi-o-zoaf ki kuchh had nahin “Akbar“
Kafir ke muqabil main bhi deeNdaar nahi hun
♥







Leave a Reply