Salam.. Hazrat musa a.s. jab misr se nikle to khali haath the, mash’hoor waqia hai ke jab kuae (Well) par pahonche to kuchh log pani pila rahe the aur chand ladkiyan door apni bakriyon ke sath khadi thi is intezar me ke mard hazrat farigh ho jaen to wo apni bakriyon ko pani pilae.
hazrat musa a.s. ne un ki madad ki, us waqt tak wo darakhton ke patte khaa kar guzara kar rahe the, ek darakht ke niche pareshan haal beth gaye aur allah se duaa ki, wo dua ye hi hai, ke ay mere rab tu jo kuchh bhalai bhi meri taraf nazil kare beshak mein us ka mohtaj hun.
Allah ne ye alfaz un ladkiyon ke kaan tak pahncha diye, aur wo apne walid ke pas gai to ye waqia sunaya, aage ham jante hein kis tarah hazrat musa a.s. ka rehne ka, khane ka, karobar ka, intezam ho gaya aur shadi bhi ho gai.
is se pata chala ke jab bhi kisi ko koi preshani aur zrurat pesh aaye apne rab se nihayat adab aur aajzi ke saath is duaa ko mange, dil me apne gunah aur nafarmaniyon se sharmsari ho, aur ye khayal ho ke wo zaminoN aasmanoN ke badshah ke darbar mein hath phela raha hai, naaummid hone ka to swaal hi nahin. inShaAllah apni murad paa lega.
Bebsi, beqrari, aur takleef ki kaifiyat me dil se is duaa ko dohrate raho tab bhi kaafi hai, (haath uthana dua ke aadab me shamil hai magar zarri nahin, mauqa ho to haath utha kar mange) aur hamara rab sunne wala, ataa karne wala ghafoor ur raheem hai.
is dua ko kitni bar read karna he or kab kab pls reply fast