<< Ahmed Nadeem Qasmi>>
*******
Andaaz hu-b-huu teri aawaaz-e-paa ka thaa
Dekhaa nikal ke ghar se to jhouNka hawaa ka thaa
*
Is husn-e-ittefaaq pe luT kar bhi shaad huN
Teri razaa jo thi, wo taqaazaa wafaa ka thaa
*
Dil raakh ho chukaa to chamak aur badh gai
Ye teri yaad thi ke amal kimiyaa ka thaa
*
Is rishta-e-lateef ke asraar kyaa khuleN
Tu saamne thaa aur tasawwur Khudaa ka thaa
*
Chhup chhup ke rouN aur sar-e-anjuman haNsuN
Mujh ko ye mashwara mere dard-aashnaa ka thaa
*
Utthaa ajab tazaad se insaan kaa Khameer
Aadi fanaa kaa thaa to puNjaari baqaa ka thaa
*
TooTaa to kitne aaina-KhaanoN pe zad paRi
ATkaa huaa gale mein jo paththar sadaa ka thaa
*
Hairaan huN ke daar se kaise bachaa “Nadeem”
Wo shakhs to Gharib-o-Ghayyoor intihaa ka thaa
***
(Click here for more kalam-e-Ahmed Nadeem Qasmi)







Leave a Reply