<<->>
Urdu shayri mein lafz “Museebat” ka istemaal aksar hota hai, magar ustaad sho’ara ka
apna hi andaaz hai, yahan 3 Behtareen Ash’aar b-unvaan-e-museebat pesh kar
raha haun, ummid hai qariaeen pasand farma kar himmat afzaai farmaenge.
Duniya mein aadmi ko museebat kahaN nahin
Wo kon si zamiN hai jahan aasmaaN nahin
<<->>
Museebat mein bashar ke johar e mardana khilte hein
Mubarak buzdilon ko gardish e qismat se dar jaana
<<->>
Museebat ka ek maqsad hai duniya e hawaadis mein
Ke ek thokar lage aur aadmi hushyaar ho jaaye
<<->>







Leave a Reply