(Manzar Bhopali)
<<->>
Badalate waqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai
Ke jab bhii dekhoN use dusaraa saa lagataa hai
*
Tumhaara husn kisi aadami kaa husn nahin
Kisi buzurg ki sachchi duaa saa lagataa hai
*
Teri nigaah ko tamiize rang-o-nuur kahaa.N
Mujhe to Khuun bhi rang-e-hinaa saa lagataa hai
*
Damaagh-o-dil hon agar mutmain to chhaaoN hai dhup
Thapedaa luu kaa bhi thandi hawaa saa lagataa hai
*
Tumhaara haath jo aayaa hai haath men mere
Ab aitabaar kaa mausam haraa saa lagataa hai
*
Nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
Tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai
<<->>
Manzar Bhopali »






Leave a Reply