Ghazal
*
Tamam umar hwaa ke dabaau mein rehna
Bahot kathin tha musalsal tanaau mein rehna
*
Ajeeb shart thi, tankar khade n hone ki
Jahan ke saamne paiham jhukaau mein rehna
*
Mein wo pahaad, thirakti hai naddiya jis par
Mera naseeb hai hardam kataau mein rehna
*
Huwa n mujh se kabhi dushmano pe bhi hamla
Hai jang ladne ka maqsad bachaau mein rehna
*
Nikalna qaid se bahar to sirf khwabon mein
Phir us ke baad ghamon ke alaau mein rehna
*
N jaane kaisa hasad hai ke khatm hota nahin
Mere khilaaf zamane ka daau mein rehna
*
N ab libaas ki prwaah n tan ki zebaaish
Ajeeb daur tha bas rakh-rakhaau mein rehna
*
Jiyo kuch ayse ke har roz raoz-e-aakhir ho
Tamam umar yunhi chal chalaau mein rehna
*
ڈاکٹر فریاد آزرؔ (Fariyad Azar)







Leave a Reply