Bashir Badr ki Shayari
Bashir Badr ki Shayari Urdu Ghazal
♥
IbadatoN ki tarah mein ye kaam karta hun
Mera usool hai pehle salaam karta hun
♥
Mukhalifat se meri shakhsiyat nikharti hai
Mein dushmanoN ka bada ehteraam karna hun
♥
Mein dar gaya hun bohot, sayadaar pedoN se
Zara si dhoop bichha kar qayaam karta hun
♥
Mujhe khuda ne ghazal ka dyaar bakhshaa hai
Ye saltanat mein muhabbat ke naam karta hun
♥
Mazeed : Bashir Badr | FB Page







I like this shayari