We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
<<Josh Malihabadi >>
*******
Naqs-e-Khayaal dil se mitaya nahiN hanuuz*
Be-dard.! main ne tujh ko bhulaya nahiN hanuuz
hanuuz = ab tak (abhi tak)
*
Teri hi zulf-e-naaz ka ab tak aseer* hun
Yani kisi ke daam* mein aaya nahiN hanuuz
[aseer = qaidi, bandhak | daam = jaal, chaalbazi, trap]
*
Yadash-b-khair jis pe kabhi thi teri nazar
Wo dil kisi se main ne lagaya nahiN hanuuz
*
Mehrab-e-jaaN mein tune jalaya tha khud jise
Seene ka wo charagh bujhaya nahiN hanuuz
*
Be hosh ho ke jald tujhe hosh aa gaya
Main bad naseeb hosh mein aaya nahiN hanuuz
*
Tu kaar-o-baar-e-ishq mein tanha nahin raha
Meraa kisi ne haath batayaa nahiN hanuuz
*
Gardan ko aaj bhi teri bahoN ki yaad hai
Ye mannatoN ka toq badhaya nahiN hanuuz
*
Mar kar bhi aayegi ye sadaa qab-e-“Josh” se
Be dard.! main ne tujh ko bhulaya nahiN hanuuz
*
( Click here for more kalam-e-Josh Malihabadi )







Dial ka dard list Sunday
Dil ki baat