Bikhre Moti
<<->>
Bewafa tere rooth jaane se
Aankh milti nahin zamane se
*
Aarizaa* ho gaya hai rone ka
Chand ghadiyon ke muskurane se
*Aarizaa = Marz, Bimari
*
Kitne toofaaN uthenge saahil par
Eyk kashtii ke Doob jaane se
*
Dhoondh aaya tujhe zamaane me
Tum kahaan gum ho ek zamaane se
*
Ab to duniya se ja raha hoon main
Laut aao isii bahaane se
*
Kis qadar badh gai hai lazzat-e-Gham
Shiddat-e-Gham mein muskuraane se
*Lazzat = Maza | *Shiddat = Sakhti/Zayadti
*
Daar* hi ko gale lagaao “Shameem”
Maut behtar hai sar jhukaane se
*Daar = Phansi, Sooli
*
Poet: Shameem Jaipuri
*






Kya kehne hai .bahut khub.
Yes