Hasrat Mohani ki Shayari
*
Bhulaata laakh huN lekin baraabar yaad aate hain
ilaahi tark-e-ulfat* par wo kyoNkar yaad aate hain
tark = chhordena | ulfat = muhabbat
*
Nahin aati to yaad unaki mahinoN bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
*
Haqiqat khul gai “Hasrat” tere tark-e-mohabbat ki
Tujhe to ab wo pahale se bhi badh kar yaad aate hain
*
By Hasrat Mohani






Leave a Reply