<< By Jan Nissar Akhtar >>
*
Tamam umar azaabon ka silsila to raha
Ye kam nahin, hamen jeene ka hosla to raha
*
Guzar hi aaye kisi tarha tere deewane
Qadam qadam pe koi sakht marhala to raha
*
Chalo n ishq hi jeeta n aql haar saki
Tamam waqt maze ka muqablaa to raha
*
Mein teri zaat mein gum ho saka n tu mujh mein
Bohot qareeb the ham, phir bhi faasla to raha
*
Ye aur baat ki har chhed laa-ubaali thi
Teri nazar ka dilon se muaamlaa to raha
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))
तमाम उम्र अज़ाबों का सिलसिला तो रहा
ये कम नहीं, हमें जीने का होसला तो रहा
गुज़र ही आये किसी तरहा तेरे दीवाने
क़दम क़दम पे कोई सख्त मरहला तो रहा
चलो न इश्क ही जीता न अक्ल हार सकी
तमाम वक़्त मज़े का मुकाबला तो रहा
में तेरी ज़ात में गम हो सका न तू मुझ में
बोहोत करीब थे हम, फिर भी फासला तो रहा
ये और बात के हर छेड़ लाउबालि थी
तेरी नज़र का दिलों से मुआमला तो रहा
*






a
bahot khoob,v.v.v.nice
Bahot bhoot
Bahot bhoot wah wah!!
Bahot khub jumble kahe aapne. Very nice word