Qamar Jalalabadi – Aawaaz De Rahi Hai (Video)
♥
by Qamar Jalalabadi
♥
Subscribe on YouTube Channel
♥
Mazeed : Kalam e Qamar Jalalabadi






The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
Qamar Jalalabadi – Aawaaz De Rahi Hai (Video)
♥
by Qamar Jalalabadi
♥
Subscribe on YouTube Channel
♥
Mazeed : Kalam e Qamar Jalalabadi
♥
Jaa..! Taras aa hi gaya hashr mein laachaar mujhe
Tu bhi kya yaad karega but-e-ayyar* mujhe
Ayyaar = chaal baaz
♥
Dhoop jab sar se guzarti hai bayabanoN ki
Yaad aata hai tera saya-e-diwaar mujhe
♥
Mera Shikwa jo ghalt hai to chalo yun hi sahi
Hashr ka din hai badhaani nahin takraat mujhe
♥
Dard-e-dil rasm-e-muhabbat hai tujhe kya malum
Charagar* tu ne samajh rakkha hai bimaar mujhe
Charagar = madadgaar
♥
Hichki aa aa ke kisi waqt nikal jaayega dam
Aap kyun yaad kiya karte hein har baar mujhe
♥
Ae “Qamar” raat ki ronaq bhi gai saath un ke
Tare hone lage malum giraaN baar mujhe
GiraaN baar = Bahot bojhal
Asal lafz hai “baar-e-giraaN” yahan zarurat ki wajah se Qamar Jalalabadi ne “giraaN baar” likha hai, is liye ke qafiya “r” ka hai.
♥
In Hindi / Urdu [Read more…] about Jaa..! Taras aa hi gaya hashr mein – Qamar Jalalabadi
♥
Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma* le liya tune
Magar jo jis ke qaabil hai, wahi usko diya tune
zimma = zimmedari
♥
Kisiko deke daulat tune uski chheen li neenden
Kisiko muflisi* dekar bharosa de diya tune
muflisi = ghurbat / gharibi
♥
Kisiko ishq dekar saari duniya loot li uski
kisiko sabr dekar saara aalam de diya tune
♥
Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon
Bahot kam ke mein qaabil tha, bahot kuch de diya tune
♥
Mazeed : Kalam e Qamar Jalalabadi
*
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala
Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala
*
Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par
Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala
*
Jo n samjhe teri manzil wo yunhi chalta rahe
Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala
*
Jo n samjhe wo banata raha laakhon baatein
Huwa khamosh teri baat samajhne wala
*
Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi
Khud sawaali hai sawalaat samajhne wala
*
*
Chhotisi be-rukhi pe shikayat ki baat hai
Aur wo bhi is liye ke Muhabbat ki baat hai
*
Main ne kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad
Kehne lage, huzoor ye fursat ki baat hai
*
Main ne kaha ke mil ke bhi hum kyun n mil sake
Kehne lage, huzoor ye Qismat ki baat hai
*
Main ne kaha ke rehte ho har baat par khafa
Kehne lage, huzoor ye qurbat* ki baat hai
qurbat = qareeb hona / nazdiki
*
Main ne kaha ke dete hain dil, tum bhi laao dil
Kehne lage ke, ye to tijarat* ki baat hai
tijarat = karobar / Trade
*
Main ne kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
Kehne lage ke, ye to tabiat ki baat hai
*