Shayari
Shayari by shakeel badayuni
♥
Kuchh tabassum zer-e-lab, par sharm daman-geer hai
Uff.. ye kis aalam mein khinchwaai hui tasveer hai
Tabassum = muskurahat | DamanGeer = pallu se lipti hui
Ik nazar dekha jise madhoosh o bekhud kar diya
Teri kaif angeeN nigahoN men ajab taseer hai
Bekhud = behosh | kaif angeeN = Nashili
Kitni dil kash hai teri tasveer ki raanaaiyaaN
Lekin ae parda nasheeN tasveer phir tasveer hai
Phoonk de barq-e-tapaaN, mera nasheman phoonk de
Aashiyane ki ye ek bigdi huei tasveer hai
Barq e TapaaN = BIjli
Lantarani keh diya tha toor par jis ne “Shakeel”
Zarre zarre mein usee ke husn ki tasveer hai
Lantarani = Nahin dekh paaoge | Toor = ek parvat (pahad) ka naam
♥
Mazeed : Shayari Shakeel Badayuni






