Mohsin Naqvi
Mohsin Naqvi Urdu Shayari in Urdu Hindi
♥







The Grand Collection of Great Urdu Poetry / Shayari
by Admin 2 Comments
Image Shayari in Urdu |
---|
Image Shayari in Urdu – Usee Ke Hijr Mein Rona
♥
♥
Use Paana Use Khona Usee Ke hijr Mein Rona
Yehi gar ishq hai “Mohsin” to Ham Tanhaa hi Achhe hain
♥
उसे पाना उसे खोना उसी के हिज्र में रोना
यही गर इश्क़ है “मोहसिन” तो हम तनहा ही अच्छे हैं
हिज्र = जुदाई
♥
Mazeed : Images | 2 line shayari | Mohsin Naqvi | FB Page
by Admin 6 Comments
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko
Zakham khulte hain, aziyyat nahin hoti mujh ko
♥
Ab koi aaye chala jaaye, mein khush rehta hun
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
♥
Ayse badla hun tere shehr ka paani pee kar
Jhooth bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
♥
Hai amanat mein khayanat jo kisi ki khaatir
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
♥
Itna masroof hun jeene ki hawas mein “Mohsin”
Sans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
♥
by Admin 2 Comments
*
Mein khud zameeN hun, magar zarf aasman ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
*
Bura n maan, mere lafz zehr zehr sahi
Mein kya karun ke yahi zaiqa zuban ka hai
*
Har ek pe musallat hai dil ki veerani
Tamam shehr pe saya mere makan ka hai
*
Bicharte waqt se ab tak mein yun nahin roya
Wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai
*
Musafiron ki khabar hai n dukh hai kashti ka
Hwa ko jitna bhi gham hai wo baadbaan ka hai
*
Jo barg-e-zard ki surat hawa mein udta hein
Wo ek warq meri apni daastaan ka hai
*
Ye aur baat, adalat hai be khabar warna
Tamam shehr mein charcha mere bayaan ka hai
*
Asar dikha n saka us ke dil mein ashk mera
Ye teer bhi kisi tooti huii kamaan ka hai
*
Bichhad bhi jaaye magar mujh se be-khabar bhi rahe
Ye hausla hi kahan mere bad-gumaan ka hai
*
Qafas to khair muqaddar mein tha magar “Mohsin”
Hwaa mein shor abhi tak meri udaan ka hai
*
(( Mazeed.. kalam-e-Mohsin Naqvi ))
786
Ye ghazal janab mohsin naqvi ki mashhoor aur behtareen ghazaliyat mein se ek hai, ummid hai aap hazraat pasand farmayenge.
*
Mein dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga
Marunga khud bhi, tujhe bhi kadi sazaa dunga
*
Ye teergi* mere ghar ka hi kyun muqaddar ho?
Mein tere shehr ke saare diye bujha dunga
Teergi = andhera
*
Hawa ka haath bataunga mein tabahi mein
Hare shajar* se parinde mein khud uda dunga
shajar = darakht, ped
*
Wafa karunga kisi sogwaar chehre se
Purani qabr pe qutba naya saja dunga
*
Isi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ke dard had se badhega to muskira dunga
*
Tu aasman ki surat hai gir-padega kabhi
Zameen hun mein magar tujh ko aasra dunga
*
Badhaa rahi hai mere dukh, nishaniyaN teri
Mein tere khat, teri tasveer tak jalaa dunga
*
Bahot dinon se mera dil udaas hai “Mohsin”
Is aaine ko koi aks ab nayaa dunga
*