<<Josh Malihabadi >>
♥♥♥
Qadam insaaN ka raah-e-dahr* tharra hi jaata hai
Chale kitna hi koi bach ke thokar khaa hi jaata hai
raah e dahr = जीवन की राह
♥
Nazar ho khwaah kitni hi haqaaiq aashna*, phir bhi
Hujoom-e-kashmkash* mein aadmi ghabraa hi jaata hai
khwaah = चाहे / Whether | haqaiq aashna = دوراندیش / Visionary / दूरदर्शी | hujoom e kashmkash = उलझनों की भीड़
♥
Khilaaf-e-maslehat! main bhi samajhta hun magar naseh*
Wo aate hain to chehre par taghayyur* aa hi jaata hai
Naseh = उपदेशक / Adviser | Taghayyur = परिवर्तन / Change / Tabdili
♥
HwaayeN zor kitnaa hi lagaeN aadhiyaN bankar
Magar jo ghir ke aata hai wo badal chhaa hi jaata hai
♥
Sikayat kyun ise kehte ho? ye fitrat hai insaan ki
Musibat mein khayal-e-aysh-e-raftah* aa hi jaata hai
khayal e aysh e raftah = guzre dinon ki yaad / achhe dino ki yaad
♥
ShagufoN* par bhi aati hai balaaeN yun to kehne ko
Magar jo phool ban jaata hai wo kumlaa hi jaata hai
Shagufon = कलियाँ Buds
♥♥♥
( Click here for more kalam-e-Josh Malihabadi )
♥
If you like this Please Share!!







Leave a Reply