Maikhana Khule
Chand Hi Roz Huwe Hain Abhi Maikhana Khule
♥♥♥♥♥
Dosto yun bhi n rakkho khum-o-paimana khule
Chand hi roz huwe hain abhi maikhana khule
♥
Ek zraa rang pe aaye bhi to ye josh-e-bahaar
Ek zraa dhang ka mausam ho to deevana khule
♥
Jis ke hijraN mein kitabon pe kitabeN likh di
Us pe gar haal hamara nahin khulta n khule
♥
Ham to sachmuch ke hi kirdaar samajh baithe the
Log aakhir ko kahin surat-e-afsaana khule
♥
Jane ye pyar sikhate hein ke inkaar “Faraz”
Ham pe butkhana-o-kaba-o-kalisaN n khule
♥♥♥
Mazeed: Ahmad Faraz | YouTube







Wats d meaning of zaraur in hindi..?
Hi ekta
Aaap Shayad “Zarur” (ज़रूर) ke mutalliq pooch rahe hain.
“Zarur” ka matlab hai “निश्चित रूप से”.
aur “zaruri” ka ka matlab hai “आवश्यक/महत्वपूर्ण”.
visit ke liye shukriya..!
great collection man.. i’ve have been huge fan of Faraz Shahab..though i don’t understand few urdu words..still i find it heart touching..n so connected to them
Can someone explain the second shair?