We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
_________________
<< Amjad Islam “Amjad” >>
*******
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho, baras jaao kisi din
*
RaazoN ki tarah utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din
*
PeroN ki tarah husn ki baarish mein nahaa luN
Baadal ki tarah jhuum ke ghir aao kisi din
*
Khushbuu ki tarah guzro mere dil ki gali se
PhooloN ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din
*
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisi din
Band e Qabaa = Nightgown ke upar bandhi hui dori / kamarband | Lutf = maza | shab e wasl = milan ki raat
*
GuzreN jo mere ghar se to ruk jaayeN sitaare
Is tar’ha meri raat ko chamakaao kisi din
*
Main apni har ik saaNs usi raat ko de duN
Sar rakh ke mere siine pe so jaao kisi din
***
(( Click Here for More Kalaam e Amjad Islam Amjad ))







Heart touching wow its really excellent
Though its juvenile, but the heart gets warmed that there is still this kind of innocence and ideals found in this age.