We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below. 😀
Bikhre Moti
<<->>
Deewana banana hai to deewana bana de
Warna kahin taqdeer samasha n bana de
*
Aey dekhne waalo mujhe hans-hans ke n dekho
Tum ko bhi Muhabbat kahin mujh-saa n banade
*
Main dhoond raha hun meri wo shamm’aa kahan hai
Jo bazm ki har cheez ko parwana bana de
*
Aakhir koi soorat bhi to ho khaana-e-dil ki
Kabaa nahin banta hai to but-khana bana de
*
“Behzaad” har ek jaam pe ek sajda-e-masti
Har zarre ko sang-e-dar-e-janana bana de
*
Shair: Sardar Ahmed Khan “Behzaad Lakhnavi”






The whole life philosophy has been said in first two lines.
Diwana banana hai…