Bikhre Moti
<<->>
Zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
Saaya deewar pe mera tha sadaa kis ki thi
*
Uski raftar se lipti rahi meri aankhen
Us ne murh kar bhi n dekha ke wafaa kis ki thi
*
Waqt ki tarha dabe paanw ye kaun ayaa hai
Main andheraa jise samjha wo qabaa kis ki thi
*
Aansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
Hath to main ne uthaye the duaa kis ki thi
*
Meri aahon ki zabaN koi samajhta kaise
Zindagi itni dukhi mere siwaa kis ki thi
*
Aag se dosti us ki thi, jala ghar meraa
Di gai kis ko sazaa aur khataa kis ki thi
*
Main ne beenaiyaaN Bo kar bhi andhere kate
Kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi
*
Chorh di kis liye tu ne “Muzaffar” duniya
justaju sii tujhe har waqt bata kis ki thi
*
By Muzaffar Warsi
*







Subhaan Allah.Amazing composition sir.Its very heart-touching.