Dil Bahar shayari
Dil Bahar Shayari by Khumar Barabankvi
♥
Dil ko taskeen-e-yaar le duubi
Is chaman ko bahaar le duubi
Ashq ko pee gaye ham un ke huzuur
Aah-e-be-ikhtiyaar le duubi
Ishq ke karobaar ko aksar
Garmi-e-karobaar le duubi
Haal-e-gham un se baar baar kaha
Aur hansi baar baar le duubi
Tere har mashware ko ae naaseh
Aaj phir yaad-e-yaar le duubi
Naaseh = Adviser / Preacher
Chaar din ka hi saath tha lekin
Zindagi ay “Khumar” le duubi
♥
Khumar Barabankvi Urdu Shyari
دل کو تسکینِ یار لے ڈوبی
اس چمن کو بہار لے ڈوبی
اشک کو پی گئے ہم ان کے حضور
آہِ بے اختیار لے ڈوبی
عشق کے کاروبار کو اکثر
گرمی کاروبار لے ڈوبی
حال غم ان سے بار بار کہا
اور ہنسی بار بار لے ڈوبی
تیرے ہر مشورے کو اے ناصح
آج پھر يادِ یار لے ڈوبی
چار دن کا ہی ساتھ تھا لیکن
زندگی اے “خمار” لے ڈوبی
♥
दिल को तसकीने यार ले डूबी
इस चमन को बहार ले डूबी
अश्क़ को पी गए हम उन के हुज़ूर
आहे बे इख्तियार ले डूबी
इश्क़ के कारोबार को अक्सर
गर्मीए कारोबार ले डूबी
हाले ग़म उन से बार बार कहा
और हंसी बार बार ले डूबी
तेरे हर मश्वरे को ऐ नासेह
आज फिर यादे यार ले डूबी
नासेह = उपदेशक / नसीहत करने वाला
चार दिन का ही साथ था लेकिन
ज़िन्दगी ऐ “खुमार” ले डूबी
♥
Mazeed : Khumar Barabankvi | Urdu Hindi Script







bhai ap agar nasseh ka sath mashwara lagain ga to alfaaz ka wazan kharab ho ga nasseh ka matlab nasihat kerna wala apko mashwara ki jaga nasihat lagana chahiya
Shukriya Mere Bhai.. Yahan hindi mein yahi lafz “nasihat karne wala” likha hai asal mein roman mein zyada tawajjoh nahin rehti, meri puri tawajjoh urdu aur hindi par hoti hai, is website ke sab se zyada readers hindi hain.
बेहद बेमिसाल ख्याल-ए-इजहार!